Saturday, January 30, 2016

Round 3 - Team # 26 (Abhilash & Ashutosh) #ftc1516

Horror (Untitled)
             

        “chal bete geeta jaldi kar nahi to sab chillane lagenge…..” kaano me jhumke lagati hui Geeta khud se baatein karti aaine ke pass pahuchi.pura parivaar shaadi attend karne jaa raha tha.sabhi taiyaar the,geeta ko chhodkar.
        “uff!ye jhumke bhi na,kitna tang…..aaaaaaaaaaaaa!!!!!!!” achanak hi chikhi Geeta.turant hi  farsh par gir padi.uske halak se aawaz nikalni band ho gayi.chehre ka rang puri tarah se udd gaya.aankhein phati reh gayi.tabhi uska bhai Rakesh kamre me pahucha.
        “kya hua geeta?tu chikhi kyun?” Rakesh ne use samhalne ki koshish ki.
        “bh..bh..bhaiiyya! v…..vo aaine me….aaine me koi hai.” Geeta ne kanpte hatho se aaine ki aor ishara kiya.
        “aaine me ..??kya keh rahi ho aaine me bhala kaun ho sakta hai…….??”
        “n..n..nahi…v…vo aaine me b..b…bhoot ….” Uske hontho se ab shabd bhi nikalne mushkil ho rahe the.
        “hahahaha…….ye badhiya hai.tujhe aaj pata chala,mai to kab se keh raha tha ki tera chehra kisi bhoot se kam nahi.” Rakesh ne baat hansi me uda di.
        “shut-up!!mai mazaak nahi kar rahi.usme koi chehra tha.bada hi bhayanak….”
        “lagta hai tera dimaag kharab ho gaya hai.chal hum sab phle hi late hogaye hai.teri bakwaas ke lie samay nahi hai.” Geeta ,Rakesh ko smjhana chahti thi lekin Rakesh uski baat ko gambhirata se nahi le raha tha.Rakesh ne Geeta ko kisi tarah samjhaya.geeta bhi maan gayi,shayad ye uska vaham hi tha.bahar nikalte huye achanak rakesh ka mobile  Baj utha usne geeta ko bahar ki aor bhej diya aur khud mobile me vyast hogaya.     Geeta aage badhi.vah bahar pahuchi.
        “aakhir aa hi gayi maharani! Kab se wait kar raha hu…kitna time lagati ho sajne-dhajne me.”
        “bh..bhaiyya.aa…aap yaha??” ek baar phir Geeta ki zubaan ladkhadane  lagi.jab usne apne Rakesh bhaiyya ko saamne se aate dekha.
        “to aur kaha rahunga.janti hai pure aadhe ghante se khada hu.mummy –papa sab chale gaye.ab mujhe bike pe raste bhar tujhe hi jhelna padega.”
        “lekin..aa..aap to vaha th..the..mere pass aaye the jab mai chikhi…..”
        “kyaaaa?????mai kab se yahi hu.aur kaun sa teri chikh yaha tak sunayi deti.chal bakwaas band kar  hum late ho chuke hai.”
        Geeta ke hat- paanv thande pad gaye.sehmi si vah andar ki aor jhanki .lekin use koi bhi aata nahi dikha.itne me rakesh ne ghar ko taala lagakar  use  bike par baithne ko kaha.besudh si vah bike me baith gayi aur raste bhar yahi sochti rahi ki abhi-abhi aakhir uske sath hua kya?achanak geeta ka dhyaan toota.
        “bhaiyya?ye hum kaun se raste se jaa rahe hai?”
        “shortcut hai !! iss time main road me bheed jyada rehti hai…ye road badhiya hai jyada bheed bhi nahi rehti aur kismat dekho aaj to koi bhi aa–jaa nahi raha.” 
Kuchh der shaant rahne ke baad Rakesh bola-“acha mai to yeh puchhna bhul hi gaya..tune bataya ki tu chikhi thi.kyun????”
Jawaab me Geeta ne use saari baat bata di.
        “hahahahahahahaha!!kya kahani bana leti hai tu bhi.acha ye bata….”
             “pucho??”
             “tujhe nahi lagta ki ab tak hume venue pahuch jana chahiye tha.”
            “tum leja hi rahe ho aise raste se.” geeta boli.
             “tu shayad bhul gayi ki  maine tujhe kaha tha ki ye shortcut hai.” Geeta ko Rakesh ki ye baat samajh nahi aayi .vah chup rahi.use samjh me nahi aa raha tha ki vah kya kahe.
            “ek baat aur bata.tujhe pura yakin hai jo ladka tere room me aaya tha aur mobile me call aane ke karan vahi ruk gaya vo tera bhaiyya nahi tha aur mai tera bhai hu??” ye shabd sunte hi geeta ka hath rakesh ke kandhe se hat gaya.sharir jaise sunn hogaya.uske honth kaanpne lage.usne aas pass dekha to use ahsaas hua ki pichhle 15 min. se ve ek hi jagah ke chakkar laga rahe hai.
             “bh..haiyya ……”
             Rakesh ka sar se lekar kamar tak ka bhaag puri tarah ulta Geeta ki aor ghum gaya aur usne do aawazo me kaa “bol behna.” aankhon ki putliya gayab thi ,khoon lage hontho se vah Geeta ki aor  dekh muskurane laga.Geeta ka dimaag sansana utha. Usi aankhein phat phat padne ko betaab ho uthi.
              “aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa!!!!!!!!!!!!”geeta ke gale se jordaar chikh nikli. bijli ka jhatka laga ho jaise vah bike se niche gir padi .bike ki raftaar jyada tez nahi thi isliye use jyada chot to nahi lagi,lekin iss jhatke ne uske hosh zaroor chhin liye.
              “mai kaha hu??” aankhein khulte hi geeta ka pahla sawaal yahi tha.
             “tum hospital me ho bete.” Ye geeta ki maa thi.papa bhi vahi the.geeta ki kuchh samajh nahi aa raha tha tab doctor andar aaye aur use relax hone ko kaha.uske papa ne bataya ki jab uske bhai ko phone kiya to unhe pata chala ki geeta use ghar me lock karke chali gayi hai.unhone phle rakesh ko  khola phir lagbhag do ghante geeta ko dhundha tabb kahi jakar vah uss sunsaan road par behoshi ki halat me  mili.usi samay  uska bhai ek poice wale ke sath undar pahucha.Rakesh ko dekh geeta ke  saamne phir vahi darawana chehra aane laga.vah chillane lagi.kisi ko bhi iska kaaran samajh me nahi aaya.doctor ne sabhi ko turant bahar jaane ko kaha.
             Geeta ne kuchh der aaram kiya. idhar police ne bhi geeta ki halat ko dekh kar usse puchh-tachh nahi ki. 
           “geeta…” ye aawaz sunkar jaise geeta uchhal padi .usne aankhein kholi.saamne uska sabse khaas dost  Aman khada tha.
            “maine usse dekha aman….maine use dekha,uski awaaz bhi suni. ”    geeta ne jhatt se aman ka hath pakad liya.
           “kiski baat ka rahi ho tum geeta kise dekha tumne?”
           “anita ko……….”
           “kya bakwas hai geeta,tumhara dimaag to kharab nahi hogaya…janti hona accident hua tha tum dono ka pahadi ilake me jaha ek car wale ki galati se tumhara balance bigad gaya aur…aur humne anita ko kho diya.tum bhi gambhir halat me thi……sar pe chhot lagi thi.…” iss baat ko yaad karte huye aman bhavook ho utha.anita uski khaas dost thi.shayad sirf dosti se kahi jyada tha inka rishta.
             “mai sach keh rahi hu aman.”
            ”dekho!shayad abhi bhi tumhe uss accident ka sadma laga hua hai.mere khayal se tumhe aaram karna chahiye mai baad me aata hu.” Geeta use samjhana chahti thi lekin yah baat vah bhi janti thi koi uski baat ka yakin nahi karega.aman vaha  se chala aaya.
         Thodi der baad dr. andar aaya.geeta ke injection ka time hogaya tha.
         ‘’ab kaisa feel kar rahi ho.” Dr. ne pucha.is par geeta  shaant rahi.dr. ne uski nas me injection lagana shuru kiya.
          “mai samajh sakta hu ki kaisa lagta hai jab koi  aapki baat ka yakin na karr to……..ye to acha hua ki tumne unhe mere sar ke ulta ghumne wali baat nahi batayi…nahi to……”
          ”d..d..doctor??” Geeta ki ki aankhein phir se phail gayi. Geeta apne bed se hilane ki koshish karne lagi lekin uske pure ang kaam karna band  kar chuke the.vah behosh ho gayi  jab aankhein khuli to dekha ki uske saamne koi nahi hai.pure room me laal color ki dim halki roshni thi.ek sannata sa chhaya tha.bas kuchh kutto ke rone ki aawaze aane lagi.
  Geeta  buri tarah ghabra gayi thi.usne chikhna shuru kar diya.vah lagataar apne maa-papa ko chillati rahi lekin vaha koi nahi aaya.tabhi kisi chiz ke girne ki aawaz hui.
    “kaun hai ?? kaun hai vaha?” geeta ka chehra darr se safed pad gaya tha .usme ab itni bhi himat nahi thi ki vah uthkar dekhein.ungliya chadar ko apne bich me masal rahi thi.tabhi achanak vah laal light bhi band ho gayi.geeta zor se chiki.lekin iss baar bhi koi nahi aaya.geeta kaanpne lagi.tabhi light wapas aa gayi.Geeta ko thodi si rahat mehsus hui.
      Geeta shant hochuki thi..tabhi light phir se bujh gayi.lphir wapas aayi.dobara bujhi aur phir wapas aayi.yeahi silsila lagataar chalta raha.geeta apni himaat haar chuki thi. uske  sharir se pasine chhutne lage .usne khud ko bed se chipka liya.apne hatho aur pairo ko apne sharir se sataa liya. Aur chadar se khud  ko puri tarah dhak liya.kuchh der bad use ye ahsaas hua ki  shayad lights jalni-bujhni band ho gayi hai.usne aankhein kholi.uske thik saamne Anita baithi muskura rahi thi.ankho ki putliya gayab,chehre par shaitaani hansi.kapde aur jism khoon se sanaa hua tha.mar  chuki anita ko dekh geeta ki aankhein phati ki phati reh gayi.usne kaskar apni aankhein band kar li.phir usi tarah bed se chipak gayi aur kaapne lagi.
kaano me Anita ki aahatein saaf sunayi pad rahi thi.lekin Geeta ki himmat jawaab de chuki thi.Anita pass aa chuki thi.vah uskke pass aakar khadi hogayi.Anita  apna chehra geeta ke pass laayi.uske kaano me jaakar phusphusaane lagi.
        “utho geeta! apni best friend se nahi milogi.dekho mai tumse milne kitni door se aayi hu.tumhe lene aayi hu mai,chalogi naa mere sath” ye aaawaz jyada bhari aur darawani thi.lekin lehza Anita ka hi tha.Geeta ke hontho se siskiya nikalne lagi.
         “m….mujhe jaane do..pleasssssss……mujhe jaane do.” Geeta aankhein band kiye hi gidgidane lagi.achanak Anita ki aawaz band ho gayi sabkuchh shannt hogaya.Usne ankhein kholi to sab samanya  thA.kamre ki tube lights jal rahi thi. vah turant hi bistar se uthi aur apne pariwaar walo ke pass jane ke liye daudi.gallery me sabhi baithe huye dikhe.Anita ke parivar wale bhi aa chuke the. vah unki aor daudi.
 Achanak thahako ki aawaze gunjani shuru ho gayi.chaaro aor se bas thahako ki hi aawaze aane lagi.geeta idhar-udhar dekhne lagi  .jab uski nazar saamne ki aor padi to usne dekha family members,aman aur police uski aor thahake lagate badhte chale aarahe hai.hospital me aaye baaki log bejaan se baithe the.
dheere-dheere unn sabhi ke chehre se khoon behne lage.Geeta unn sabhi se door bhagne lagi.lekin darr me uske kadam jyada door naa daudh paaye.vah achanak hi gir padi.sabhi uske pass aate jaa rahe the.un sab ke chehre par haiwaniyat sawaar thi.
            “m…muhje maaf kar do..Anita ….m….mai tumse jalne lagi thi.m…mai tum…tumhe  Aman ke karib aata nahi dekh saki. Isliye tumhe uss….uss  pahadi se niche dhakka de diya…” geeta  rone lagi.uske itna kahte hi sab kuchh samanya hogaya use saamne sabhi samanya halat me dikhe.sabhi samajh gaye ki geeta ne accident ka jhutha natak kiya tha.taaki uspar koi shak naa kare.police ne uska confession sunte hi hirasat me le liya.
         Anita insaaf ke liye ab tak bhatak rahi thi.lekin ab uski aatma ko shanti mil gayi.ye sab-kuchh hone ke baad  aman ko laga jaise kisi ne use chhua ho.vah samjh gaya ki ye Anita thi jo use final good-bye keh rahi thi.

===================================

Rating - 110/200

Judges - Pankaj V. (Shaan), Mohit Trendster and Mayank Sharma

Total Rating (3 Rounds) - 323/600 (53.83%)

No comments:

Post a Comment