Tuesday, June 11, 2013

Round 1 (Match # 31) - Arjun Rathor vs. Siddharth Gupta

*) - The curses of Indian society 

(# 31 - Arjun Rathor)

  1.Child marriage.
The curse which is the bane of Indian life is child marriage. Marriage is a sacred institution and the persons going in for matrimony should be of marriageable age and not that either the girl is married to an old men or she is married at an age when she does not understand what marriage is. We hear of this social evil prevalent in Rajasthan where girls are married off at an age when they do not understand what marriage is. Some of them become widows before they know that they had been married off...

2. The dowry system.
Another curse is the dowry system. A man with a number of daughters is a cursed creature. Whatever he has is given away in marriages and he becomes a pauper. The dowry system has done a greatharm to the social growth of Indian life. A man with a number of daughters has to sell his property or money at a high rate of interest so that he might give a dowry to his daughter. In case he fails to do so his daughter has to
hear taunts and harassment to such an extent that the poor girl is forcedto end her life. Everyday we hear of the burning of young brides because of this harassment from their in lawsor husbands. The sooner this social evil is removed, the better it will be for all concerned.....A total war against these and a few
other curses like drinking and smoking is of utmost necessity. There is legislation against these curses but they can be effectively checked only if the people decide to check them.......

Thanks!




Judge Rating - 45/100
Comments - "good observation and reporting but lacks content, style is monotonous. the chosen topics by the author need details and citation"

 *) - Parichay (Life of a lamp-coolie)

(# 34 - Siddharth Gupta)

Dada(cousin bhaiya) ki baaraat kuch agey nikal gayi,mai jaldi jaldi chalrahi thi uff teyar hone me hi kitna samay nikal gaya, fir socha mandir me ayi hun to arti lekar chalti chalu 

baraat jada door to nahi jayegi, woh dekho yahi to khadi hai gate pe abhi tak,andhera ho chala tha ,baraat me rimjhim rimjhim jhankiya alag hi chamak rahi thi,sath hi 

band walo ki awaaj ke kya kahne...dekha to sari bua aur chachi aise aise chamak rahi thi jese unhi ki shadi ho,bharat me baraat ka jo maza hai woh kisi aur desh me 

kahan hosakta hai,pass hi band vaje baj rahe they aur sare bhai aur chacha apne me mast they.. baraat ka dancing style to pata hi hoga "lage jhoom ke nacho re" jo man 

me aye woh karo..jaldi jaldi chalke ab thoda thak gayi thi baki logo se thoda peeche theere theere hi chalu, varna kahi bhaiyo ne pakadliya to aur dance karvayenge, 

wese hi itne kaam se thak chuki hun...

peeche kuch aurte sada sadiyo me lights/lamps uthaye chal rahi thi ,har baraat me mene inhe dekha hai par pahli baar peeche peeche chalte chalte dimag inki ore bhi thoda akarshit hua,baraat me har koi khush najar ata hai sab jhoom rahe hote hai aur band baje dhol vale bhi bajate bajate masti me rahte hai par ise to dekho ,mera ishara raghini ki ore tha baki sab aurto ke jese hi sada simple purani saree me ek bhari se lamp ko uthaye hue jo agey badhti jarahi thi ,raat ho chali thi kareeb 8 vaj rahe honge,jaha sabka man rang rangili mastiyo me madhosh hai waha raghini soch rahi thi apne do baccho k baro me "mera rohan kesa hoga,kal se bukhar hai aaj kuch paise milenge to uske liye kuch dawai ajayegi socha tha 6 vaje ki baraat hai 8:30 tak to nipat hi jayengi" samay 9 horaha tha,ye soch woh pahle se jada tez chalne lagi agey ki taraf... marriage house wahi se najar araha tha, " bus kuch hi kadam door hai " yahi soch use jaldi waha pahuchne ke liye utsa rahi thi.. ki itne me peeche wali aurat ne bola "arey amma lamp girvayogi kya mera ,lene k dene padjayenge mere ,naik thire chal-lo amma",bus raghini ka man us soch se shant hua aur usne sabka bhala sochte apni gati theemi karli,baraat gate pe ane wali thi bus sabko agey pahuchkar apna lamp rakhna tha aur ghar ke liye ravana hona tha...tabhi chote chacha ne jor ki awaaj lagayi ... "" AREY JALDI AGAYE BHAI SAHAB..THODA AUR BAJAO RE" aur puri baraat wahi khadi rah gayi ,raghini ke liye ye koi nayi baat nahi thi,use yakeen hogaya ki aaj fir 11 hi vajne hai ,rohan ke bare me soch uski anhkon se kuch ansu gir pade jo uske chahre se girte hue pasine me ghul gaye ki unhe alag se dekhpana mumkin na tha.. sari aurtain waha khadi rahi shayad har kisi ke man me raghini jesi hi ek kahani thi, 

"Deedi ye lo kaaju ki barfi" ,dekha to mere bagal me ek mithai bantne wali khadi thi, jo shayad ladki walo ki taraf se baraat ko dekh agayi thi sabko mithai baatne,kaaju ki barfi ek silver panni se packed,woh sabko baaten jarahi thi jo bhi baraat me dikhe,raghini theere theere agey badh rahi thi,tabhi use kuch chamkili cheej dikhi neeche dekhne pe use pata chala woh wohi packed kaju ki barfi hai (jo shayad kuch naachte hue chacha,bhaiyo ke beech jate hue us mithai wali se gir gaya hoga),raghini ab tak baraat ke beech agayi thi aur use apna lamp rakhna tha,usne lamp rakhne ke bahane waha se mithai uthali aur apne pallu me ghusa li,aur socha

"rohan ko me khub kahani sunati thi kaju,badaam ki woh kya kahte hai unhe han deryfroots (dry fruits),aaj use kaaju ki ye barfi khilaungi..mere der se ane par ro raha 

hoga thoda man bahal jayega,aur ispar laga ye badaam use alag se dungi to khush hojayega,use bhi pata lagega kaisa swaad hota hai kaju ka aur badaam ka,bachpan se 

sirf inke bare suna hi hai usne "  

kai logo ne use kuch uthate hue dekhliya par puchne aur samjhne ka vakt kisko hai ,aji dekho saamne marriage house agaya,aur baraat bus andar jani hai,patakho ki ladiya choot pari,aur asmaan me rang birangi atishbaaji bolo ye kahin aur dekhne ko milsakta hai kya,un rango ko dekh rhagini bhi khush thi ki ab kuch hi minto me woh ghar ki ore ravana hojayegi jaha uska rohan intzaar kar raha hai,itna hi socha tha ki tabhi badi chachi ki chillane ki awaaj ayi aur unke charo ore bheed ikaatthi hone lagi,

""MERA NECKLASE KAHA GAYA.....ABHI TO YAHI THA"" bheed me jese hangama sa hogaya sab ek dusre se baaton me itne vyast hogaye jese bhul hi gaye ho ki baraat me 

aye hai sab dhund rahe they kaha hai keemti necklase,tabhi bua boli "Maine use kuch uthate dekha tha,kaha gayi woh light wali,mujhe usi par shak hai",badi chachi 

sunkar boli "YE LOG TO HOTE HI CHORE HAI... ho na ho isine mera keemti necklase uthaya hoga",bheed umar padi sabki najar rhagini ki ore thi and usse puchne par 

rhagini ne theemi awaaj me bus itna hi kaha 
"memsaab ye necklate (necklase) kya hota hai ?" ,
maine bola "arey chandi sone ka haar ko bolte hai,aapne kahi dekha kya aunty?? "

par mere agey kuch bolne se pahle hi chachi jhunjhula ke boli "arey isse sahanbuti mat rakh,sirf dekha hi nahi, isi ne churaya bhi hai mene khud dekha hai,nikaal de 

chupchaap varna acha nahi hoga" uski taraf ungli karte hue chachi boli

rhagini ke hosh ude hue they..pahle hi thaki hue paseene me talbar,aur apne rohan ke liye chintit,usse kuch bola nahi gaya bus aankh se aansu umar pade,chachi abhi 

bhi un sab aurto ke liye kadva kadva bole jarahi thi,aur talashi lene ke liye bolrahi thi sabse.. akhir kyon hum log dekhte hai in logo ko aise,jo itni mahnat se kama 

rahe hai apne baccho ke liye,ek vakt ki roti ke liye,kya itni mahnat karne wale bhi chore hote hai aur chachi ke liye konsi badi baat hai woh 1 lakh ka haar,

kuch chachi bua-on ne uski talashi leni chalu kari,jitne me uski pallu me phasa woh mithai ka tukda gira aur logo ke pairo tale kuchal ke choora hogaya,woh haar to 

nahi mila,ulta chachi ke hilne pe khud hi milgaya jo shayad naachte me unhi ke blouse me ja atka tha aur saadi se chup gaya tha,par isme raghini ka kya dosh,uske liye 

to woh kaaju ki barfi hi us necklase se kayi jada keemti thi jo shayad rohan ko aaj khane ko milti,meri nighayen us mithai wali ko dekh rahi hai..idhar udhar hi 

hogi,milti hai to usse 2-3 piece lekar rhagini ko deti hun ..

>>...THE END...<<
Judge Rating - 68/100
Comments - "fresh topic, unseen characters and marvelous execution dude weldone!!!"

Result -  Siddharth Gupta defeats Arjun Rathore by 23 points.
Siddharth Gupta becomes the first writer to enter into top 32 and Arjun Rathor Goes to Parallel League where he will get one more chance to get into main league. 

Judge for this Match - Mr. Mayank Sharma (Wrote for Raj Comics and few other publications, active since year 2002)

No comments:

Post a Comment