Tuesday, June 18, 2013

Round 1 (Match # 16) - Aman Kumar vs. Sunil Sadhvani

*) - Vyavshta aur aam janta(system and public)
(# 16 - Aman Kumar)



Kabhi-kabhi sochta hu ki kya hmari system ke bigdne ke phichhe unke akele ka dosh hai ya fir public bhi isme utni hi bhagidar hai? Iske kayi karan hai jiske kayi pahluhai par unme se kuchh ko share karna chahunga.

1. Bharstachar- kya bharsatachar ke phalne pulne ka karan unche rashukh wale karmchari hi hai ya fir public bhi. Ise ek bat se clear kiya ja sakta hai. Jab public apne kam jo unka hak hai ko jaldi se jaldi pura krane ke karmchari ya manager ko rishwat na de to kya bharstachariyo ka vyapar fal-ful sakta hai? Sarkar bhi tab tak bharsachar puri tarah khatam nhi kar sakti jab tak public unki madad na kre aur jo rishwat maang rhe ho unhe saja dilaye. Lekin public ko to apne se matlab hai kisi na kisi tarah kam jaldi ho jaye bus chahe bad me wohi aadmi koste rhe jamana kharab ho gya hai bina rishwat diye kuchh ni ho sakta. Aur sarkar ko bhalabura kahenge ki koi shakht kanun ni bnate iske khilaf. Are sarkar kanun bnakar bhi kya bigad legi in bharstachariyo ka jabtak public khud jagruk na ho?

2. Blatkar aur rape- aaj ye mudda is desh ki bdi samsya ban gyi hai. Aaye din tv ya news papero mekisi na kisi ke rape ya blatkar sunne athva padne ko mil jati hai. Par in sabke phichhe jimmedar kaun hai? Insanki mansik vikriti ya fir sarkar ke kanuni niyam josakht saja nhi de sakte. Par mera manna hai is case me public ka role jyada importent hai is sabke phichhe. Pahle kabhi is desh me nari ko jha maa,behan ya bhabhi[ek tarah se ma(pahle jamane ke anusar)] samjha jata tha aaj unhe sirf upbhog ki najro se dekha jata hai. Yaro-dosto ke beech majese adult joke pesh kiya jata hai aur uspar thahakalgaya jata hai aur koi mnakre to uska majak uda diya jata hai. Ab aise mahol me rahkar niyat to dolegi hi aur agar us shakhs ko apni sharirik bhukh mitane ka rasta na mile to wah blatkar ya rape jaise kam bhi kar jata hai. Aur yhan mera kahne ka matlab ye nhi kiakele ladke hi iske jimmedar hai balki kuchh awara kism ki ladkiya bhihai par inki sankhya 1-5%hi hoti hai. Yha to bat ho gyi rape ke karan ki par bat yhi khatam nhi ho jati. Rape ke waqt agar koi ladki madad ke liye chillati rhe to koi madad ko nhi jata aur wo rapist aaram se apna kam kar jata hai. Agle din wohi logjo rat ko help karne ko aage ni aaye the wo iski jamkar ninda karne lag jate hai aur candil march ya pta nhi kya kya hadtale aur rapist ko saja dilane ki mang karte rahte hai wohi log jo ghatna ke waqt muk darshak bne huye hote hai agar wo jra si himmat krte to ye vakya hi na hota. Aur man lijiye rape ke waqt koi maujud na tha par rape huyi mahila raste me crictical halat memil jaye to log madad karna bhi ganvara ni samjhte aur police ke aane ka intzar karte rahtehai. Wohi bad me us ladkiko kuchh ho gya to kohram macha denge. Sarkar to subuto ki muhtaj hai subut hai to doshi na subut to nirdosh.Wo to apne bnaye niyam par chalenge par public ko bhi apne kartvya ka bodh hona chahiye. Is mahol se na sirf ek bebas ki ijjat jati hai warn us desh ki bhi bdnami hoti hai. Janta jagruk ho to aisa hoga hi nhi.

Uprokt do udahrano se kahne ka mera matlab yhihai ki kisi ek ko jimmedarthahrana katayi insafi na hogi. Tali ek hath se nhi bajti balki dono hath jab satte hai to tali bajti hai. Hmare samaj ki bhi wohi dasha hai. Agar ise sudharna hai to dono paksho ko apni jimmedarishi se nibhani hogi.

Rating - 34/100 

*) - Sabak

(# 49 - Sunil Sadhvani)

India mein rishto ko aham mante he aur unhi se hum sabak lete hai. Prastut hai ye kavita.

zindagi jeena hi to seekha tha abhi
dekha kisi ko zindagi se jate hue
sath jiske haste they roj
usi ki yaad ko humain rulate hue
jis paheli ko samjha hi tha abhi
usi paheli ko aur uljhate hue
jee nahi sakte they jinke bin
jee rahe hai unhe bhulate hue
aate hai roj chahre naye
wohi dosti ka ahsas jatate hue
ab to pyaar karne mai dar lagta hai
ki jayenge woh bhi humain satate hue
unke bina jeena to mushkil hai par
jee rahe hai fir bhi muskurate hue



koi zindagi mein yu aaye,
ki badal gaye dil ke armaan.
ghum ko cheenke jisne de di,
aqeedat mein lipti muskan.
jane khuda ne kyu bana diye itne fasle,
ki aahat bhi na aaye us farishtey ki.
na naam raha na anjaam raha,
na pyar na ehsaas bacha us rishtey ki.
kahan dhunde us taare ko,
jiske jaate hi lauta soona aasman.
ye kaisi saza mili he hume,
ki bichhad gayi ruh se pehchaan..

Rating - 31/100

Judge's Comment - Commendable efforts by both. Keep writing and practicing new themes.

Judge - Soumya Sucharit Das (Author)

Result - Aman wins the match and enters into top 32 round. Sunil Sadhvani goes to parallel League.

No comments:

Post a Comment