Monday, June 17, 2013

Round 1 (Match # 19) - Dheeraj dkboss Kumar vs. Sankalp Shrivastava



*) - Indian Society

(# 19 - Dheeraj Kumar)

Jab hum baat karte hain Indian Society ki tab shabd ‘Society’ humare warg ko ek star(level) de deta hai…star jo padha-likha sabhya hai..anushashan jaanta hai..aapas mein milansaar hai…sahi kahein to upar se dekhne mein ek badi hi sukhad tasveer saamne aati hai…

Shabd ‘society’ ka asal matlab bhi yahi hai…parantu yeh shabd mukhyata ‘high-class’ logon ke liye upyukt hota hai ya yun kahein unhi ke liye hi banaya gaya hai…Kher…yeh to sirf ek shabd ki baat hui par Indian society ya bhartiya samaaj isse bahut vishaal hai…aur ise vishaal banati hai humari sanskriti….ek aisi sanskriti jo vishwa mein kahin aur nahi hai…jiski khoj mein videshi hamari jameen par aate hai aur param anand paate hain…

Bhartiya samajh vividhata se bhara hua hai jiska alsi kaaran yahan janme dharmo se hai..hindu,jain,buddh aur sikh dharm bharat ke apne dharm mane jaate hai jabki islam aur isaai dharm bahar se aaye hue…inhi dharmo ke mishran ki wajah se har ek cheez mein vivdhta aayi fir chahe woh tyohar ho,naam ya bhaasha ho,khaan paan ho,rahan sahan ka tareeka ho,ya fir kala ya khel kood ka shetra ho…bharat mein jammu se lekar kanya kumari tak alag alag rang hain.

Kyonki bhaarat ka itihaas kaafi purana,lamba,dilchasp aur kai pariwartano se bhara hua isi wajah se humari sanskriti,desh aur desh ke log bhi kai alag alag rang liye hue hain…inhi ooch neech ki wajah se kai antar bhi aa jaate hain…jinme pramukh Caste System (Jaati) jaisi burai hai…jaatiwaad aur logon ko unke rutbe aur aarthik aakar se aankaa jaana hi is tarah ki ooch nich ko sthaapit karta hai,jo purane samay se chala aaya hai aur aaj bhi chal raha hai…

Desh mein Alag alag dharm hone ke kaaran bhi alag alag samuday bane hue hai,jo aapas mein ek nahi hai…is wajah se jahan dharm ke naam par log lad jaate hain wahin dusre haath par alag alag dharmo ki sanskriti ka sangam bhi sirf hamare samaaj mein hi dekhno ko milta hai.

Parantu ab hum 21vi sadi mein hain..taknik aur vigyaan ka yug,jisne humien hamari shakti aur daayre ka ehsaas karaya..pure vishwa ko ek hi sampark ke maadhyam mein piroya aur hamari jaagrukta aur gyaan ko aur badhaya…isi wajah se aaj ka manushya..purane sabhi galat aur tay kiye hue dhaancho ko todkar aapne vikaas mein aage badh raha hai….kai kuritiya,maanyataayein,aur varsho se chali aa rahi kai galat baatein ab apne ant ko dekh rahi hai aur humara samaaj ek sukhad bhawish ki aur agrasar hai.

Vartmaan samay mein bhartiya samaaj tezi se badal raha hai,paschimi sabhyata ka gehra asar hamari sanskriti ko me ghul raha hai…asal dikkat yeh hai ki jab hum kisi cheez ko bina purnta se soche samjhe garahan karte hai to aksar uske gehraayi mein nahi jaa paate aur woh kitni sahi ya galat hai iska andaaza nahi kar paate hain…tatparya yeh hai ki videshi sabhyata galat nahi parantu uski purn jaankari na hone ki wajah se aamtaur par woh ‘galat’ ki aur jyada kheech jaati hai…aur aisi sthiti ka jyada fayda hota hai vikrit maansikta ke logon ko…jo apradh ko janam de dete hain…vartmaan samay mein desh ki mahilaayein surakshit nahi…jimmedaar apraadhi nahi balki zamane ki badalti soch hai.badalta khulapan hai…sahi galat samajhne ke maayne badal chuke hain…logon ka apni hi sanskriti se door hona hi aisi baato ko avsar de raha hai…na to hum apni hi sanskriti ko puri tarah samajh paa rahe hain na hi dusri ko puri tarah grahan kar paa rahe hain…kahin beech mein latake hain aur yeh ‘bich ki sthiti’ hi kahtarnaak saabit ho rahi hai.

Desh mein aisi samasyaane hain,jaatiwaad,shetrawaad ityaadi aur bhi na jaane kitni…jo aaj ke samaaj ko seemit kar rahi hai…acche kal ki ummid sirf yuva warg se ki jaa sakti hai parantu aaj ka yuva warg ko daulat aur chakachond aakarshit karti hai…yuva warg azaad rehna chahta hai par durbhaagyawash azaadi ka matlab unhone sirf mauj masti karna hi maan liya hai. Fir bhi agar X hai to Y bhi hai…jahan ek warg mauj masti mein dooba rehna chahta hai wahin dusra warg mehnat karke kuch banna bhi chahta hai….bhartiya samaaj ki yahi maujuda sthiti hai…jahan hum apne apne shetra mein imaandari aur mehnat se kaam karke,samaaj ko accha banane mein yogdaan de sakte hain…kai dharmo ke anusaran ke saath saath insaaniyat ko apna pratham dharm maan kar khud ki manushyata ko ucch bana sakte hain.acchi soch aur acchi aadato se hi ek acche samaaj ka nirmaan kar sakte hain.

Rating - 33/100

Judge's Comment - Satisfactory article on general theme. Please keep writing but look for clarity. When you re-read this piece in a few months, maybe even a few weeks, you'll be able to see how thearticle  you wanted to tell got hijacked by your current style of writing. Keep writing!



                                            *) - BEGGAR
                                                                  
                                                        (# 46 - Sankalp Shrivastava)




I accept that life is cruel and offers no free lunches but our policies are flawed which are widenig the gap between ric and poor, poor people get less opportunities. Beggar (2009) Poem.
 

Walkig through a busy street. 
I was thinking about my date & the expense i'll have due to it. 

Checking through my wallet a 1 rupee coin fell down & rolling through it stopped at the feet of a Begger.
 I saw him face to face, he seemed to be just like me. Same age, Same height, & nearly same built. 
But despite of such similarities, we were different. 
That 1 rupee coin showed how different we were. 

As i was least bothered about that coin & he latched on to that coin as if it was a treasure. 
For me it was nothing more then the parking charge for any vehicle. 
But for him it was a way to reach the amount to arrange one time meal for his family. 
I was spending my money on a girl like it meant nothing. 
Here he was struggling for money because for him it was the only thing. 

Slowly i walked towards him. looked in his dirt filled eyes & gave him 100 Rs. 
It meant i would spend less on my date. 
But that money would help feeding a whole family. 
So sacrifising a bit for such cause is bigger then having a good date anyday.

Rating - 34/100

Judge's Comment
This was an interesting piece, and I enjoyed reading it. It had beautiful little flares of imagery but nothing amazing or unique. May be because this is you old poem.

Judge - Kshitij Dhyani (Author, Artist and Musician)

Result - Sankalp is the winner of the match by 1 point and goes to final 32 round. Dheeraj Dkboss Kumar goes to parallel league.

No comments:

Post a Comment