Tuesday, June 18, 2013

Round 1 (Match # 17) - Charanjot Singh vs. Ravi Yadav

*) - Golden Temple
  (# 17 Charanjot Singh)

Golden Temple is Sikhs’ shrine
Spiritual symbol denotes divine
Purity glimmers day and night
Gilded grandeur of sheer delight.

Feel the profound vibes in its compound
Walk bare feet on its path all around
Hymns sung in Ragas pluck heartstrings
Melodies soothe ears thus soul swings.
Dip in and sip holy nectar from its legendry pond
Purify insight and build a sacred bond
Causeway leads to the distinctive feature
Bow to the “Guru’s Granth” ; invisible teacher.

At night when the hustle and bustle are asleep
The hush anchors the turbulence to the deep
Sit at the rim of the pool and submit your soul
Bathe in the moonlit vibes, revere and cajole.
 
Food is served to everyone free of charge
Rich and poor sit together and eat by and large
Nature has bestowed everything to this holy land
I’m blessed to be born in this city; so grand.

Rating - 52/100
Judge's Comment - Education and spiritual with superb rhyming.
Smay ki kami ke rahte(koi excuse nahi hai,shabhi issase preshan hai) socha kyon na ek report hi likh di jaye . Ye report apko kitani pasand aaygi kha nahi sakta .Par main bhut hi sadharan Tarike se likhane ki kosish ki hai, bade hi simple words aur vo batain jo shayd apko phale se hi pata hai.Pdhakar luft utayiye aur han sikyat mat kijiyga ki ,apko to ye phale se hi pata tha.
Ek acchi report main bhut se tathya jutakar unhe bade hi ruchikar dhang se parstut kiya jata hai ,isme kalpana ke liye koi sathan nahi rahta .Mari ye report Bhartiya Samaj main Comics ke yogdaan ko lekar hai.

*) - Bhartiya Samaj Main comics Ka Yogdan : Ek Report   
                              (# 44 - Ravi Yadav)                                                                                
Bhartiya Samaj main vaypt buraiyo ko dur karne main anek chijo ka apana-apana yogdan raha hai ,comics bhi unme se ek hai.Shyad hi koi esa ho jo comics se kabhi apane jivan main rubaru na hua ho.
Comics  padhane ki suruvat bachpan se hoti hai jayadatar 6-7 saal ki age main kyonki issi umar main shahi dang se padhana aa jaata hai.bacche jab comics phadhte hai to uname sarjan shakti ka vikas hota hai.yahi sarjan shakti unko ek savccha evam sunder samaj ki rachana karne ki prerna deti hai aur yahi se bacche ke mastiksh main sanskaro ke ankur foot te hai jo uske jivan k saat bhadkar ek vishal varkh ban jaate hai.
Ek comic mool rup se ek chitrakatha hooti hai yaani ki chitro k dawara kahi jaane vaali katha, bacche k baal sulabh mastiksh evam maan dono par in chitro ka bhut adhik parbhav padta hai .Vo apane dimag  ke page par man rupi pancil se apani kalpana ko nit naye roop dete hai. Baad main jab vo bade hote hai to samaj main issi kalpana ko sakar kar apane spano ko hakikat main badlte hai.
Unki ye kalpana ,ye jighysha bachpan se kishor avastha main aate aate parbal ho jati hai kyonki ab vo samaj se kisi n kisi roop main judane lagte hai.ab unki ye kalpana sapno main badal jaati hai aur vo apane priy patro ki nakal kar samaj ki burayio ko dur karne ki kosish karte hai.Dusare sabdo main kaha jaye to vo bhut se acche karya bhi karte hain jese dusro ki madad karana, apane se chooto ko kahaniyo ke madahyam se acacchai k liye prerit karna itayadi.
Comics padhane main ek sabse badi problem jo aati hai vo hai mata-pita ki narajgi .unko lagta hai ki comics padhne se baccha padhyi main kamjoor ho jayega.Jo mata –pita ye sochte hai ki unke bacche comics padhane se padhai main picche rah jaate hai ye soch bilkul galat hai.mera ye viswas hai ki jo bacche video game ya dusre khelo (main  yahan ek baat clear karana chahunga ki main physical games ki baat nahi kar raha kyonki ye bacche ki sararik vardhi k liye avaysak hai) ki bajay comics padhte hai unke marks jayda aate hai. Iska karan hai comics unhe padhane k liye prerit karti hai aur unme bhut si pheliya hoti hai aur prtiyogitayen bhi.
Ek naamcheen Comic Book House ki ek esi hi prtiyogita “Brain Master”ka main yahan khaas tour se jikr karna chunga ,iss prtiyogita k chalet bhut se comics reader ne first posisition parpt karke samaj main apana avem apane mata-pita ka naam roshan kiya. Aur to aur Apane priy patra k masals dekhkar bhut se comics reader apane sarir ko vesa banate hai issase bhi ek sakhtisaali samaj ka nirman hota hai.
Kishor avasta se ab bhadhte hai Yuaavastha ki aur yaha hum dekhte hai ki unka comics prem ab tak joonun ban chukka hota hai. Aur iss baata se to sabhi sahmat honge ki ek Yuva Samaj nirman main jitana yogdan de sakta hai utana koi aur age-group nahi.
Comics se mili har parkaar ki jankari,apani dradh icchashakhti aur apne super hero ko role model mannkar vo samajik burayio par parhar karte hai aur ant main unko khatam karke hi dum lete hai.Yahan main Political field ka example dena chaunga mera ye manana hai ki non comics reader ki bajay comics reader main political knowledge 40% jayda hoti hai(ye aap Social networking sites par jakar Comics reader ki comment dekhkar hi jaan jayenge)  karan vahi unka supar hero bhi khani na kanhi dushit rajniti ka sikar hua hota hai.yahi se suruvaat hoti hai unke politic interest ki. Samaj aur poltics in dono ka chunki apas main bhut hi gahara naata hai,aur aaj ke daur main samaj main vaypat iss dushit rajniti ko dur karne ka beeda bhi in comics prami yuvo ne khoob utha rakha hai.
Ab sabse matva puran baat atti hai ki comics ko sab manoranjan ka saadhan samajhte hai aur hindi cinema ko manoranjan ke khetra main sabse upar sathan diya jata hail, lakin yahan bhi comics agge hai kyonki aaj k cinema main jhan kai filme uddeshya vihin hoti hai,vahni koi bhi comics udeshya vihin nahi ho sakati iska karan hai comics ke lekhak ki sakartamak soch. 
Comics lekhak samaj ke bare main jayda nahi sochkar sirf apani kalpana ke adhar par ek savcha manorajan ke liye comics likhta hai,use pata hota hai ki readers apnae aap comics padhkar uski khani ke anusaar manorjan ke saath acchi shiksha graham kar ek sahi disha main sochenge.Par theek iske viprit Cinema ki filmo main kai burayiyo ke saath ,alag alag logo ki soch ko parde par utarkar,parchar ka bhari bharkam choga phanakar,sitro ki chamak-dhamak ke saath,adhik se adhik dan arjit karana mano inka ek trend ban gaya hai jo samaj main ek shai sandesh lekar nahi jaata hai.
Aaj comics reader ka ek poora varg aapas main saneh avem pyar ke saath ,miljulkar samaj ko sahi disha main le jane k liye apana yogdaan de raha hai ..mujhe khushi hai ki main bhi uska ek hissa hun aur Aap bhi…………..issi trah comics padhte rahiye aur ek sunder ,savcch Bhartiya Samaj ke nirman main apana yogdaan dete rahiye…..
Comics Hai Hamara Junoon.

Rating - 55/100 
Result - Ravi Yadav wins the match, Charanjot Singh goes to parallel league.

Judge - Soumya Sucharit Das (Author) 

No comments:

Post a Comment