Sunday, June 16, 2013

Round 1 (Match # 17) - Anand Bhaskar vs. Shaheer Rahman

*) - KHOOBSURAT

 (# 17 - Anand Bhaskar)



Mai Shobha, umra 32 saal, kaam Rivera Cosmetics mai Managing Director, aaj bhi mai apne is chehre ko dekhti hoon to mujhe mera kal yaad aata hai, aaj meri zindagi jitni khushaal aur samridha hai, 10 saal pehle aisa kuch bhi nahi tha, mai b.ftech kar rahi thi 3rd year, apne batch ki sabse khubsurat ladkiyon me se ek,
meri khubsurti k charche pure ilaake me faila hua tha, mujhe nahi pata tha k ek din yahi khubsurat chehra mera jeena duswar kar dega, mai middle class family se belong karti hoon, papa ne acchha sa ladka dekh kar meri shaadi tay kar di thi, par mujhe padhne ki chaah thi, aur ladke wale maan bhi gaye, Samir, haan Samir naam tha uska, dikhne me sidha sadha aur samajhdar insaan tha, dheere dheere hamari nazdikya badhne lagi, aur sab kuch acchha chal raha tha, uske vyavhar k vajah se mujhe uss par bharosa hone laga tha, unhi dino college k ladko ka mujhe chhedna kuch jyada badh gaya tha, maine unhe kabhi apne college me nahi dekha, pata nai sayad kisi aur college se ho, unme se ek ladke ne to hadd paar kar di, wo hamesha mera peechha karta, mujhe Ochhi nazro se dekhta, isaare karta, logo ko dhamkata, mai uske khilaaf kuch karyawahi karna chahti thi par gharwalon ne mana kar diya,

Samaj me kuch unch nich ho gaya to hum kisi ko muh dikhane layak nahirahenge, bas yeh keh kar hamesha mujhe shaant kar dete the, ek din mai bazaar me thi to wo bhi mera pichha karte hue wahan pahucha, aur badtamizi par utar aaya, usne dukaandaro se ye kehna suru kar diya k madam se paise naa lay hone wali patni hai meri, maine oose ulta zawab dena chaha par meri saath wali aunty ne mera hath pakad kar rok liya, aur unka kehna tha ki aise logo se muhh nai laga karte, in sab baton me dhyaan mat do, khubsurat ho, ladke to pichhe padenge hee, kahin khubsurat chehre ko kuch naa ho jaye, kuch dino me tumhari shaadi hone wali hai aur agar usne kuch jyada keh diya aur ye baat tumhare sasural tak pahunch gayi to tumhari shaadi toot sakti hai, aur tumhare ghar waln ki samaj me thoo-thoo ho jayegee, uss waqt mere dimaag me yahi chal raha tha k yahan par kisi ko meri parwah nahi hai naa hi meri swabhimaan ki, parwah hai to sirf meri khoobsurti ki, meri shaadi aur iss samaj ki, wo samaj jahan ladki ki izzat ki bhi kisi ko parwah nahi hai, yahan meri madad k liye koi aage nahi aaya, bas har koi tamashe ki tarah dekhta raha, mai samajh sakti hoon unn ladkiyon ka haal jinke saath bhari duskarm kiye jaate hai, aur unki madad ki cheekhh kisi andhere kone me dafn ho jaati hai,

ghar jaake maine apne mangetar ko phone par saari batein batayi, fir usne mujhse kaha k itni khoobsurat ho log to pichha karenge hee, maine kaha ye mazak ka waqt nahi hai, to ussne mujhe bharosa diya k ghabrane
ki koi jarurat nai hai, agar aage aisa kuch hua to police me shikayat karwa di jayegee, mai tumhe kuch hone thode hee dunga, uss waqt mujhe aisa laga k koi to mujhe samajhta hai, koi to mere saath hai, samir k hone se mai hamesha khush rehti thi, kuch hi dino baad mere exams suru hone wale the, to mai sari chize chhod kar taiyaari me zut gayi thi, yahan exam khatm aur ghar me shadi ki taiyariya shuru ho gayi thi. Mera bhi bahar nikalna dheere-dheere band ho gaya tha, mai uss ladke ko lagbhag bhool heechuki thi, k achanak ek
din wo mujhe apni gali me ghumta nazar aaya, mai wapas se ghabra gai or khidkiya band kar di, mujhe laga ye ek baar ki baat hogi par wo mere gali me har roj nazar aata, mere ghar k pass hee wo pure din laga
rehta, maine mangetar sd ishki shikayat ki to usne laparwahi se kaha tum ignore karo, bas tum shaadi aur apne chehre par dhyaan do, kyun k mai chahta hoon k meri shaadi me meri shobha duniya ki sabse
khubsurat dulhan lage, Kahin na kahin mai khush thi, ki samir mere sath hai, par uss ladke ki harkate
mujhe baar baar sata rahi thi, uss ki harkate aur badhti jaa rahi thi, shaadi band karwane ki dhamkiya dene laga, ghar wale police k jhanjhat me nahi padna chahte the, issliye wo kuch kar nahi
rahe the, mai ek tarah se ghut ghut kar jine lagi thi, naa gharwale mujhe kuch karne dete naa wo khud kuch karte, mujhe samajh nai aa raha tha k mai kya karun, mere chhote bhai Prem se meri ye halath dekhi naa gayi, aur wo gusse me unse ladme nikal pada, uske dosto ne use do-teen thappad lagaye aur
ye keh kar bhej diya k iklaute saale ho issliye chhod rahe hai, Prem ho prem se raho, warna chalne k layak nahi rahoge, Ghar par bhi sabhi ne use khari khoti sunai, Dada ne kaha - Shobha ko aaj nahi to kal jaana hee
hai, tu to iklauta waarish hai, tujhe hee aakar sab kuch sambhalna hai agar tujhe kuch ho gaya to iss ghar ka kya hoga, aur tu kyun ro rahi hai, galti teri hee hogi, tune hee kuch harkat ki hogi warna ladke aise kisi k pichhe nai padte, dada-dadi ki baatien mujhe kaatne ko daudti thi, ye koi pehli baar nai tha k wo mujhe ladke ladki ka farq samjha rahi thi, magar aaj mere gharwale mujhe hee galat thehra rahe the, par mujhe khushi iss baat ki thi k Prem ko kuch nahi hua, Ghar me yahi mahaul tha k usne agli subahdarwaze par dastak hui, kholne par dekha to saamne koi haath me packet liye khara hai, bhaiya ne aapke liye sagun ka joda bhijwaya hai,

mai gusse se tamtama uthi, ye ussi gunde ki kartut thi, mujhe laga iss bar bhi ghar se kuch hoga nai
aur mai ab chup reh nai sakti thi, maine uss k chamche ko dhakke mar kr bahar nikal diya, fir maine usse saamne hee khada paya, mai gusse me uske pass gayi aur kaha - kya chahte ho tum, kyun
meri life barbad karne par tule ho, mai tumhe pasand nahi karti, naa kabhi kiya tha, aur naa kabhi
karungi,
"mana ki tum bahut
khubsurat ho aur iss
baat ka ghamand
tumhara haque
hai, par jaan lo k hamara
dil iss madmast husn
par aa tika hai, aur
hame jo pasand aa jaye
wo ham paa kar hee
dum lete hai, itna gussa
mat
kar o k chehre par
jhurriya aajaye"
 itna kehte hee usne mujhe chhoone ki kosis ki aur chatak k aawaz se sara mahaul goonz utha, sidhe 2
thappad maine uss k gaal par rashid diye ki ussne mera haath pakad liya, tab tak wahan
police bhi aa gayi thi, palat kar dekha to mera bhai bhi unke saath khada tha, mujhe samajhte der naa
lagi k Prem ne hee unhe bulaya tha, police wale unhe pakad kar lay gaye, tab jaake maine rahat ki
saans lee. Fir mai shaadi ki taiyaari me zutt gayi aur insab bato ko bhulna sahi samjha. Ek din mai apni saheliyo k saath parlour se nikal rahi thi k pichhe se kisi ne mujhe toka, pichhe mudd kar dekha
to wahi tha, use dekh kar mai darr gayi k usne mere ore kuch phenka, chhann bhar me meri chehre par bhari
jalan ho rahi thi, mujhe behad peeda mehsus hui, mujhe kuch dikhai nai de raha tha,
jab hospital me meri aankh khuli to maine doctor k kehte suna k aadha
chehra aur gale ka kuch hissa buri tarah se jal chuka hai, lagta hai bahut strong acid ka istemaal kiya gaya hai, ye thik to hojayengi par daag hamesha rahega, tab tak wahan police
aagayi, unhone mere gharwalo se puchhtachh suru ki, kissi par koi shaque par ghar walon ne saaf
inkaar kar diya, ladki k hoss me aate hee statement lagegee, itna kehkar wo chale gaye, mai chillana chahti thi, unhe batana chahti thi, par meri aawaz mere gale me dabb kr reh
gaye, mai rona chahti thi par mere aansu jaise sookh chuke the, mahina beetne ko aaya tha, aur Samir ka koi
khabar nahi, naahi kabhi wo mujhse milne aaya aur naa hi koi call, mere phone calls ka bhi
usne koi jawab nahi diya, baad md pata chala k unhone shaadi tod di hai, Prem ne Samir ko ik ladki
k saath dekha puchhne par usne kaha "ab kya rakha hai tumhari behan
me, mai usse shaadi nahi kar sakta,
"
mai toot chuki thi, ghar ka mahaul bhi kharab tha, baat baat par mujhe taane sunne ko milte, koi kuch karne ko taiyaar nahi tha, par mujhe insaaf chahiye tha, himmat bandh kar mai police station report darz karne gayi,
to wahan bhi mujhe zillat sehni padi, unke betuke sawal, aisa lag raha tha k police wale kuch karna nahi
chahte, bad me mujhe pata chala wo ladka aur koi nai MLA ka beta tha, mujhe iss ghatiye system se ghinn aa rahi thi,
.
Tang aa kar maine haar maan li, aur kuch dino baad maine ghar chhod diya aur apni maasi k
ghar chali gayi, Jahan meri maasi ne mujhe bahut samjhaya,
mujhe aise logo se milaya jin par mujhse bhi badi jyadti hui thi,
par wo ek khushhaal life ji rahe the,
.(maasi ek NGO chalati thi)
Maasi ki baaton se mai bahut prerit hui,
unhone mujhme jaisi nayi urjaa bhar di,
mai ab apne life k saath kuch behtar karna chahti thi,
maine padhna suru kiya, kadi mehnat ki,
naye naye contacts banaye,
aur aaj me yahan hoon,
do bacche adopt kiye aur unke saath khush hoon,
.
Par kahin naa kahin aaj bhi mujhe iss system/samaj se chidh hai, jahan ek ore aurat ko pujte hai,
wahin unhe janm lete hee maar diya jata hai,
agar koi badsurat hui to unki zindagi duswar ho jati hai,
tarah - tarah k taane sunne ko milte hai,
aur agar kahin wo khubsurat hui to kya? Unki zindagi meri jaisi hogi?
Yahan koi ladki safe nahi hai,
sunne me aaya k delhi jaise sehro me itne saare rape ho rahe hai,
par kahin koi karyawahi nai,
naa unhe kabhi insaaf mila! aur naa mujhe,
par kya aapko mila?

Rating - 45/100

*) - Hamare Desh Hindustan ki Gareebi
(# 48 Shaheer Rahman)


Raaste me chalte hue Imran ke qadam achanaak ruk gaye. Sadak ke kinaare ek deewar pe poster chipka hua tha jispe bade bade shabdon me chapaa tha ki khoon dene waalon ko achche paise milenge. Ye shabd Imran ko andar hi andar se pareshaan karne lage. Doctor ka parcha uske haath me tha aur pocket bilkul khaali. Maa ki dawaaon ke liye paise nahi the. Wo Maa Jo hamen 9 mahine apne andar dheron mushkilen aur parishaniyon ko bardaasht karke paida karti hai. Hamari Zara si takleef pe raat raat bhar pareshaan rahti hai. Aaj wahi maa bilkul bejaan si bistar pe padi thi. Apni maa ki haalat dekh kar Imran bhi pareshaan hua tha. Deewar ke poster ko dekh kar Imran sochne laga ki aakhir uski nas nas me isi maa ka hi khoon hi to hai. Kab kaam ayega ye khoon. Uske qadam tezi se blood bank ki taraf badhne lage.

Imran ka ghar shahar ke bahar ek choti si jhopdi me banaa tha. Wo ek dhaabe me bartan dhone ka kaam karta tha. Jab Imran 8 saal ka tha tabhi uske waalid ka intaqaal ho gaya tha. Waalid ke duniya se jaane ke baad Imran ke paas sirf maa ka saaya rah gaya tha. Sabhi rishte waalo ne unse naata tod liya tha. Gareebi se pareshaan Hoke imraan dhaabe me gande bartan dhone laga. Shuruaat me theek se kaam na kar paane pe dhaabe ka maalik use maarta tha aur paise bhi kam deta. Magar wo bechara aakhir karta bhi to kya karta. Uske paas koi aur chaara nahi tha. Wo rote rote kaam karta rehta. Imran ne kabhi ummed ka saath nahi chhoda. Bas man laga kar kaam karta.

Aaj Imran 20 saal ka jawaan ladka tha. Uski maa boodhi ho gayi thi. Aksar bimaar hi rehti thi. Imran apni maa ki zyada se zyaada fikr me rehta ki kab amma theek hogi. Ghar ke zaroori kharche aur dawaa ke liye poore paise nahi ho paate the. Uski maa ki tabiyat dheere dheere bigadti gayi. Ab wo chal bhi nahi sakti thi. Hamesha bistar pe padi rehti.

Aaj jab Imran ki maa ki haalat kaafi kharab thi aur saans bhi mushkil se chal rahi thi. Doctor ne bhi kaha ki agar subah tak theek rahi to hi kuch kaha jaa sakta hai.

Garmi ka mausam tha aur Imran maa ki dawaa le kar aa raha tha. Uska poora jism paseene se naha chuka tha. Blood Bank me apni jism ke andar jo maa ka khoon daud raha tha, uski qeemat ada karke aa raha tha.
Imran ghar aa gaya. Jaise hi usne andar qadam rakha, hawa ka ek jhoka aaya aur diya bujh gaya. Saath hi maa ki rooh bhi nikal gayi.

Main tumhare liye dawaa laya hoon. Ye kahte hue maa ko jhanjhoda aur phir kaha, Maa kuch to bolo. Aakhir tum chup kyun ho. Jab maa ki nabz dekha to koi bhi halchal nahi thi. Nabz ruk chuki thi.

Aur isi ke saath Imran ki cheekh nikli "Maaaaaa" aur wo apni maa ke bejaan jism se lipat kar rone laga...............

Rating - 43/100

Judge's Comment - Problems like Acid attacks in one sided love, eve teasing and poverty are beautifully shown in numerous documentaries, TV serials, novels and shorst stories the set standard is already very high. Overused themes chosen by both the writers require extra efforts to connect with reader. Work on your editing Anand.

Result - Anand Bhaskar wins the match by 2 points and enters the top 32 round. Shaheer Rahman is assigned to parallel league where he will get one more chance to enter into top 16. 

Judge - Mr. Kshitish Padhy (Author, Novelist worked for multiple publications since 2006)

No comments:

Post a Comment