Tuesday, June 18, 2013

Round 1 (Match # 13) - Akshay Rana vs. Abhinav Dutta

*) - Ek Bhartiya Artist

(# 13 - Akshay Rana)

mere kandhe par ek bag tha...main idhar udher dekhta dilli ki galiyo ki khaak chhan raha tha...ek basti mein mujhe ek makaan kiraye par mil gya tha...ab main us aur hi ja raha tha....
Mera ghar ab 2 galiya aage hai...raste mein mujhe ek chhoti si shop dikhi...jo biscuit vagerah ki thi...maine socha ab kaha khan banaoonga...thode biscuits lekar jata hoo tea k sath khaoonga...
Main dukan par gya...

(mere hath counter ko thapthapa rahe the) "koi hai" maine poochha
(sahayd sab ander the...ander hi ghar tha...jisk aage dukan khol rakhi thi...main dukan ko niharne laga...us shop j ander kuchh cartoons lage the...jo ki bahut badhiya the...kisi professional ne banaye lag rahe the...kyunki main ek writer hoo is liye dekhte hi us mein lagi mehnat pata lag gyi...tabhi ander se ek aadmi bahar nikla..dekhne se hi halat khrab lag rahi thi...aur shop ki halat se bhi wo ek gareeb lag raha tha)

"kya loge babu ji" mera dhyan un cartoons se hat kar us par gya...
"yaha bakery biscuits milte hain na" maine sawaal kiya
"ji haa...ap konse loge....kai variety hain" usne akarshit karne wale andaz mein kaha...shayd wo baki grahako ko bhi aise hi akarshit karta tha..taki dukan chale..
"dikhao kon si variety hai" maine poocha
usne mere samne 7 treh k biscuit nikaal kar rakhe...sabhi achhe bane hue the...maine ek biscuit chakha...
"yeh achha hai,,aisa karo 250 gram yeh kar do...aur 250 gram yeh namkeen wale..."
"ji babu ji " usne biscuit ko tola aur ek plastic bag mein dal kar mujhe diye aur kaha "75 rs. Babu ji"
maine jeb se purse nikala aur usmein se ek 100 ka note nikala..uski aur badha diya...
"khule nahi hai kya babu ji " usne meri aur dekh kar kaha..
"nahi" maine kaha
chhutte paise uske pass bhi nahi the...

Tab maine kaha " koi baat nahi baki paise baad mein le jaoonga...mera ghar samne hi hai...main nya aaya hoo"

"oh...koi baat nahi...kahi aap wo lekhak to nahi...jo haal hi mein shimla se aaye ho " usne utsukta se poochha..

"ha...par tumhein kaise pata" maine hairani se poocha..
" wo aapki kaamwali hai na...wo meri bivi k pass ati rehti hai...usne bataya...aur meri biwi ne mujhe...aap chinta mat karo...paise main khud dene aa jaoonga.." uska baat karne ka dhang mujhe achha laga...
"dhnyawaad" maine kaha aur ghar ki aur chal pada..

Ghar pahunch kar maine darwaza khola aur ander gya...kaamwali ne purani jageh chabi chhod di thi safai k baad jaha maine rakhne ko kaha tha...ander pahunch kar ek chain ki saans li...apna bag maine drower mein rakha...joote vagera nikal kar rest karne k baad fresh hone gya...

Ab raat k 8 baj rahe the...maine tea banakar biscuits khaye the...bhookh kam ho gyi thi...par tali nahi thi...main samne wali ek chhoti si dukan par jakar 2 maggi laya aur rakh liya...darwaza maine band kar diya tha...tabhi darwaze par kisi ne dastak di...(thak thak)

"kon hai" main hairan tha...kyunki main nya tha aur koi mujhe janta nahi tha yaha...
Tabhi bahar se aawaz aayi.." main hoo babu ji...aapne biscuit liye the na babu ji...wohi dene aaya tha.."
"kholta hoo" mujhe darr bhi lag raha tha...k kahi yeh aadmi koi thag to nahi...kahi ander ghus kar mera katal kar chala gya to ise kon poochhega...yeh to apni dukaan chalayega pahle k jaise...darte hue maine darwaza khola..

Samne wahi aadmi khada tha...maine us ki aur dekha...wo pahle wale kapdo mein tha...shareer par ek purani c baniyan aur ek purani paint pehan rakhi thi...use dekh kar mujhe darr lagna band hua par uske kapde dekh kar taras aaya...

"aao" maine kaha aur ander ane ko rasta diya..
Wo hichkichate hue ander aaya..

"paise to kal bhi wapis ho sakte the..." maine uski aur dekhte hue kaha..
" ho sakte the babu ji...par ham gareeb aadmi hain...kis k paise nahi rakhte...jitni jaldi ho sake paise lauta dete hain...na jane ghar mein kharch hi ho jayein..."

uski in bato ne mere dil par parbhav kiya....meri nazrein khud b khud neeche jhuk gyi...k maine kitni galat ray kayam kar li thi is vyakti k bare mein...mujhe khud par ghin aa rahi thi....apne aap se...hum kaise bina kisi k bare mein jane apni ray kayam kar lete hain...

"ye lo babu ji" us awaz ne meri tandra bhang ki..uske hath mein 25 rs. The...maine liye aur kaha...
"are batho na...khade kyun ho..." maine uski aur ek chair khiskate hue kaha...
Wo baith gya...
" main chay banata hoo.."

" are nahi babu ji..kyun takleef karte ho...bas main izazat chahta hoo.." usne kaha..uski awaz mein kuchh ajeeb tha...jaise usne yaha aakar koi galati kar di
" are baitho to..tum mere liye yaha aaye..ek chay to piyo..." maine jabardasti baithate hue kaha.." aur main chay ki taiyari karne laga....

" maine tumhari shop par cartoon lage dekhe..kafi shok hai tumhein cartoons ka...kis se liye.."
"wo maine banaye babu ji" ek pal k liye meri nigaah uski taraf gyi..
"kya" main hairan tha

"ji babu ji...bachpan se shauk hai" usne kaha.
"waah bahut achha banate ho yaar...tumhein kisi comic vagera mein artist hona chahiye" maine use kaha
"koi kaam nahi deta babu ji " usne nirasha bhare sawar mein kaha..


"to kis akhbar vagera mein to chhapte honge tumhare cartoon?"
maine poochha...
"ha babu ji.."usne jwaab diya..
"fir to paise vagera kama lete ho kafi"
"nahi babu ji wo paise nahi dete.."
"matlab" main hairan ho gya..
"wo paise nahi dete..."
"kya"
"haa babu ji..wo akhbar chhota hai...to paise nahi dete.." usne kaha...
"to tum mangte nahi kya" maine ek cup mein chay dali aur uski aur badhate hue poochha..
" maine mange the...wo kehte hain..kam karna hai to karo..warna koi aur aa jayega..."
"to tum us akhbaar ko chhod kar kahi aur try karo "maine salah di...
"kahi post khali nahi babu ji..har jage full hai...agar ho bhi to mujh jaise greeb ko kam kon dega...sab pahunch walo ko rakhte the.." uski awaz mein sachchai thi...
"To tum us akhbar ko chhod do na...paise to wo dete nahi..." maine kaha..
"nahi kar sakta babu ji.."
"matlab"
"matlab k agar hum mithai banayein aur mithai koi na khareede to wo sad jayegi...aise hi mera artwork bhi kharaab jayega...agar koi free mein bhi mera art dekh raha hai to mujhe kya takleef hogi..."
"tumhein apne shok ko apna kaam banana chahiye...yeh dukan kyun chalate ho..."
" pet k liye karna padta hai babu ji...priwar ka pet palna hai...yeh batein sirf filmo mein achhi lagti hain...asal jindagi mein in bato par chalne wala pis jata hai.." us ki awaz mein poore bharat ka dard tha...har hindustani ki kahani bayan kar raha tha wo...jo sach thi..main bhi to struggle kar raha tha...dhakke kha raha tha..
"family mein kon hai tumhare".
"ma babu ji...beta beti..aur patni..."
"to dukan ke karan ghar ka kharch chl jata hai kya.." ,aine poochha
"kaha babu ji...badi mushkil se parivar ka pet bharta hoo..."
"tumhein apne guru se baat karni chahiye...shayd wo tumhein kahi kaam dilwa sakein.."
" mera koi guru nahi...main khud hi seekha hoo...bachpan se shauk tha iska..pahle...kisi bhi chitr ko apni copy pe banata tha..dheere dheere yeh junoon jor marne lag...parivar ki tanghali k karan 10 mein padhai chhod di...aur baba ka hath bantane laga dukan par.."
"oh.achha hai.."
"ab chalta hoo babu ji...ghar par raah dekh rahe honge...."wo chair se khada hua...
"main bhi sath chlta hoo sair ho jayegi.." maine muskurate hue kaha...
Main darwaza band karne laga...cups apni jage the..socha aakar dho doonga...
Ham sath chal rahe the...
"are maine tumhara naam to poochha nahi.." jaise mujhe apni bhool par pachtava hua...
"amrender naam hai mera..."
"achha nama hai..."
uska ghar aa gya..wo mujhe lekar ander jane laga tabhi uski biwi pass ayi aur boli "kaha gye the...ghar par chawal nahi hai...raat ho gyi hai..ab na mile to..kya pakaoongi.."
"are main la deta hoo.." usne apni biwi se kaha..aur mera parichay sab gharwalo se karwaya....
"achha main ab chalta hoo.." maine kaha...
" main bhi apko bahar tak chhod deta hoo...maine chawal lene jana hai.."
"itni raat gye kaha milenge...chawal.." maine poochha..
"ummeed par duniya kayam hai babu ji..."

ham dono apni raah par badh gye...mere dimag mein uski kahi baatein goonj rahi thi...sahi hai..india mein talent ki kami nahi..bas us talent ko chance dene wale ki kami hai.....aadami kitna bhi talented ho...2 roti ki kasak...ek chhat ki jaroorat...uske talent par bhari padti hai....sach mein...mera bharat mahan hai..na jane kitne amrendr artist aaj bhi in galiyo mein gum ho jate hain....

The end

Rating - 40/100

Judge's Comment - Very random. I will have to say that it is very much a work in progress, work on your editing or "reader is king" for us.

                                                 *) - Back Benchers 

                                     (# 52 Abhinav Dutta)

*A conversation with a friend also helped me in this article

The word   Back Bencher  is related to the students who sit or prefer to sit in the last bench in the class. Perhaps there may be certain reasons that students who prefer to sit in the last bench have some psychological problems:-
(i)           Friendship:  If intimate friend sits the last bench he will also like to sit with him in the last bench.

(ii)         Weak or shaky students normally hesitate to sit in the front bench to avoid eyes of the teacher so that teacher may not ask him any question or put him in an embarrassing position in the class.

(iii)       Some students prefer to sit in the last bench who does not have much interest in the study either due to family background, unpleasant family circumstances, poverty or want of proper scope of study.

The teachers normally could not pay much attention towards back bencher although it is not intentionally but inadvertently. Therefore, any how they are neglected and even back bencher also neglect themselves. 

Under the above circumstances, a system should be evolved to have rotational sitting arrangements in the class. Such as back bencher should come to first or front bench and front bencher should go to back bench in rotational system. In this way the weakness and hesitation amongst the students of back bencher may disappear. This system should be started from the beginning.

If the reality of back bencher are sincerely studied or analyzed and rectify their deficiencies I think they must come out with prime success in life. -----

A famous cinema “Taare Zameen Par” which had focused on such a weak student named “Ishaan”. He was neglected from all corners. He could not cope up with other students. No teacher or guardian had taken pain to understand the reality of that student. He was left uncared. Ultimately one teacher “Mr. Nikumbh” took the responsibility of the student. He enquired into the matter deeply and lastly came out with the reason of his weakness. Although it took time to set him right but brought him in main stream.
Normally it is seen that first bencher do not mix up with the back bencher, they avoid. Similar case is with back bencher. Therefore to bring both the back and front bencher at par, a rotational sitting arrangement is required.
Practice makes a man perfect. If Back benchers are practically taken care of and their deficiencies are analyzed, enquired into, then it can be rectified and the student may come in main stream

I remember the times in school when being late for the first lecture meant sitting on the last bench. There was this unestablished protocol where a student who comes late had to occupy the last bench. Traverse life phase to college and as always when I am late, I am greeted by empty pale front benches as there is this compulsive need to occupy the last benches to refrain from the normal college lecture and indulge in nefarious deeds (not per se).

I have even noticed that a teachers’ viewpoint towards a last bencher is very prejudiced. He is a trouble, a menace, comes only for attendance and is least bothered is a clichéd belief. With due respect ma’am, everyone comes for attendance *straight face*. It is not 100% true but backbenchers, though absolutely unbothered about lectures and studies, score good marks in exams and are smart and crafty freaks. Last benchers mind are perpetually distracted like ADHD and as of my observation, they take pride when asked to stand up and being questioned about their ignorance.

 Rating - 43/100 

 Delay Submission Penalty (Minus 5 Points)

Final Rating - 38/100

 Judge's Comments - Nice writeup, I was a back bencher. You need to explain it more and make it longer.

Result - Akshay Rana is the winner of the match by 2 Points and reaches round of 32. Abhinav Dutta is assigned to Parallel League.

Judge - Mr. Mayank Sharma (Author)

No comments:

Post a Comment